Sunday, July 17, 2011

Tum kahaa ho...?

Sach me tum ho,
Yaa mujhme kahi gum ho,
Kahne ko har jagah ho,
Par jaane; tum kaha ho?

Door chitiz par tum ho,
Band palako me bhi ho,
Man ki gaharaayi me tum ho,
Nabh ki unchaai me bhi ho.

Kuch kahu?
Jo suno;
Naa kahu?
Kuch suno;

Dinkar ki kirne hai,
Man ki tarange,
Kuch tum kaho;
Chaaye man me umange.

Chaaya aakash;
Yaa neela samundar;
Neela aakash;
Yaa gehra samundar;

Bhramit hu?
Vyathit hu?
Main kya hu?
Vichitra;

Karna kya hai?
Naa koi nashaa hai,
Hai bhi agar to,
Wo jaane kahaa hai?

Man me bashaa tha,
Man me bashaa hai,
Man kaa wo vaasi;
Ab jaane kahaa hai?

                                      © Jitendra Gupta

No comments:

Post a Comment